Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

29.12.07

aane wala kal.......Kaisa ho?

NAYA SAAL SABKE LIYE SHUBH HO

Nya Saal yani ki aane wala KAL...pata nahin ye Shabd aapko pareshan karta hain ya nahin magar mai isse majbooran pareshan rahata hoon , laakh chahoon ki is chutiyape ki baat par samay na doon magar kambakhat ye dimag.....man karta hain ki Goli maar bheje me ki tarj par goli to nahin par kuch na kuch to zaroor maar lun...qhair mai is baare mai shoch kar pareshan kyun rahata hoon ye aap janna chahen ya nahin, mai batana chahata hoon...baat ye hain ki INTER tak to mai ek aam sa bachcha hi raha aur DOCTER banne ki khatir JEEVVIGYAN ki padhai karne laga, Sala usi samay ye Dhamaka ho gaya ki mai Rangkarmiyon Aur AAZADI BACHAO AANDOLAN se sat gaya bas kuch kitaaben aur bhashan sunne ke baad hi mai apne aap ko Chandra shekar Aazad ki santan samaghany laga...jaldi hi aapni Bhadas nikaalane ke liye Aandolan ki patrika mai aapni Bhadas nikaalne laga aur patrakaar ho gaya....jab tak papa the mughame patrakaar kam Aandolankaari jyada jinnda tha...par baad mai maine Naukari kar li.......DAINIK JAGRAN mai.....ab meri SHADI hone ja rahi hain....AAP ab to samagh hi gaye honge ki maara kya hain?

AGAR SHADI SHUDA HAIN TO KUCH 'HAL' BATAYE ki... is samasya se kaise nibta jaaye...

waise sab bhai logon aur mathadheeson ko NAV VARS KI SHUBH KAAMNAYEN.
...Chitra MERE dwara hi liya gaya hain aaj hi kuch ghanton pahale...

No comments: