Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

Ladayi Roman

*ladaayi yahan hai Ve ,
Janglon me hain

*dhoop ka hona to ek bahana hai ,
Dar asl kujhe chhat par aana hi nahi hai

*horses bench kar soye raho ,
Kalpana-lok me khoye raho

*Nirutsah mat ho magar utsah me kami rakho ,
Jo giroge to zara chot to kam aayegi

*Desh ko kuchh ho gaya to , aap zimmedar honge ;
Khoon iska jo piyenge , maut ke haqdar honge

*Prabhu ki sharan me jao
To aise jao
Kisee sampraday me na jao ##

*Bahmanvad ka dosh is desh par hai
Nazivadi visheshan se navaze loge
Bhi is desh me hain
Samantvad , nawaabiyat ka aarop
Bhi yahin ke logon par hai
Samrajya vadi hone ka khitab bhi
Is par lagne laga hai
Andhvishvasi , kayar ,kaamchor
To ye kab ke hain
Bhrasht, ghooskhor ,soodkhor
Ye hain hi
Hatyare ,daku , balatkari hona to kitna
Adalton ke nirnayon se siddh hai
Sampradayik , burzuoise bhi
Kahaane lage hain hum
Atankvadi ,aur fir naye-naye
Maovadi bhi hum shauk se hain ;
Kya to nahi hain hum ,is desh me !
Yeh desh hai ya
Koi apradhiyon ka maha – adda
Isee ko chhipane ke liye hamara naam
Vishal jantantra hai ##

*Reedh ka farz hai
Kuchh der tane rahna
Kabhi , patthar
Uthne ke liye
Jhukna ##
*Jab tak mann ho , sota rahta ,
Jab mann hota , tab jag jaata
*[misra-e ula ] – Unke theek barabar hun main , kuchh antar ke saath
*Wh to tumhe
Gulam banana chahta hai
Aur tum use
Azad karna chahte ho ! #
*Yun sare-sham tum yad aaye mujhe
Kab subah ho gayi kuchh pata hi nahi #
*Tere aane me thodi der huyi
Wh jalkar khaq ho gaya ab to #
EK KURSI BEECH ME
Wo pakke dost the jab tak nahi thi ek kursi beech me ,
Jan ke dushman bane jab aa gayi ek kursi beech me #
*Kabhi hum yun hi hye dher hain sadkon pe, nalon me,
Hamara nam bhi aa jaye sharab pine walon me #
*Kuchh mat kaho nagrik ji ,
Khush- khush kaho nagrik ji #
*Bhojya kuchh achchha nahi laga , mujhko kya hua ?
Aaj maine kuchh nahi khaya hai , mujhko kya hua ? #
*Apna-apna swarth hai , apna-apna hitt,
Chulhe me ya bhad me jaye vishwa nihitt [doha] #
*Zindgi bhar
Pyar maine kiya
Palkiwala aaya
Le gaya #
*Sabko adhikar hai
Sabki himmat hai
Prajatantra me
Khoob boliye
Aur fir
Paani pee-pee kar
Kosiye
Prajantra ko ##
*Koi ladayi
Aazadi ki ladayi nahi
Ek gulami se
Doosri gulami ##

No comments: