Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

26.9.11

Nahi say Roman

*Nahi Manushat shreshthtaram hi kinchit or/ The Man is important Isme vyakti ke manushya ko aadar dene ki baat kahi gayi gayi hai Manushya ke vyakti ko mahayva dene ki baat isme mat samajh lena

*Dekhiye , yeh jo aap log kar rahe hain , pooja-paath,bhajan -keertan ,yagna-havan,teerath-baat vagairah , sab ekmusht zindgi ko aasan karne ka rasta hai , ZINDGI NAHI HAI . Ab thoda zaroorat hai ,ZINDGI JEENE KI . Bhale wh thoda kashkar ho , MANUSHYATA KE HIT ME .. ##

*Jo bhi log jaativad ke samarthak hain, ve apni hi jati ko sarvshreshth batate hain Bhala yeh kaise ho sakta hai? Unhe to kinhi jaatiyon se apni nyoon ta sweekar hi karni chahiye

*Main Hindu rajya ki sthapna isliye chahta hun kyonki isme vyakti suraksha poorvak nastik ho sakta hai , aur Hindutva ki kisee bhi kupratha ka virodh nirbhay hokar kar sakta hai

*Raneeti me main isliye hissa leta hun kyonki rajneeti bada mahatv poorn prabhav dalti hai manushy ke vyavhaar par bhale door se Jaise jyotish me taron-sitaron,grah-nakshatron ke bare me kaha jata hai

*BHARAT PANTHI , Main sochta hun ki ydi mujhe batana pade ki main kya hun , vaampanthi, dakshinpanthi aadi me se , to main kya bataunga ? Main bataunga – “ BHARAT PANTHI ”

*Itihas pahle mann mohta hai , fir dhire-dhire mastishk par bhi kabza bana leta hai Aage andhkar me le ja kar ‘mulaqat’ [dating] karta hai aur aatma ko ksheen bana deta hai Albatta wh vivah kisi se nahi karta

*J o swaarthi vyakti na hon , unse sambhalkar raho wh swarth-mukta hokar aapka koi swarth-siddhi karykram nahi bhi hone de sakta hai use latka sakta hai , rok sakta hai

*Jo bolte hain wh kahan likhte hain Hindi me bhi dekhiye bolte hain kalakter ,likhte hain jiladhish Pukarte hain B.D.O saheb , jab likhit prarthna-patra hindi me deni hogi to likhenge – siriman Khand Vikas Adhikari mahodaya !Ex.En, A.E, J.E. ko adhishashi, sahayak , avar abhiyanta likhenge

*Koi ydi mahavidvan ke roop mepratishthit hai Fir wh tanik bhi moorkhta ki baat kahta hai to use hi maha-moorkh kaha jayega Use nahi ,jo sadharan aadmi hai , bhale hi wh prayah hi badi-badi moorkhta ki baaten karta ho

*15/4/11. Abhi abhi mujhme ek bada vichar parivartan aaya jaise main ishwar aur dharmon ki burayi- aalochna to karta hun , par unse main pareshan nahi hota balki unhe main sanskrutik roop se bachana bhi chahta hun , isliye unhe taraashta rahta hun isee kram me maine apne aap se kathor prashna kiya ki mujhe to fir Marxvaad se bhi koi pareshani nahi nahi honi chahiye kyonki jab main apnae andar khagalta hun to paata hun ki main bahut gahre arthon me samyavadi hun , kisee bhi kathit communist se zyada , theek jaise main atyant gahrayi me aastik aur dhaarmik hun alochna to main aage bhi in sabki karoonga par nishchay hi ek nitant prem ke saath WITH LOVE TO THEM

*Mera putra mujhe kuchh deta nahi , to yeh bhi to nahi poochhta ki papa, tumhari pension kitni hai ?

*Main kabhi apne baap ka beta tha , ab main apne bete ka baap hun

*Zyada bakaiti na kijiye Pahalwanon ka burhapa bahut bura beet ta hai

*Dawaon ka thaila bada se bada rakhta hun , burhape ke sammaan me ,uski garima banaye rakhne ke liye Dawaon ki khali panniyon aur sheeshiyon se ghar bhare rahta hun Vay [old age] jhaankti hogi aur mere kamre me apni kursi surakshit rakhi dekhkar bahar se hi vapas chali jaati hogi main bheetar jawan bana rahta hun

*Ydi aapko manushya se prem karna hai to to pahle uski kamiyon-kamzoriyon , moorkhtaon ko sahan , balki unka kuchh anusheelan karna bhi seekho

*Vivek vyaktigat oorja hai Kisi ke kahne- konchne se vastav me paida nahi hota , jab tak ki vyakti mewh swayam jagrut na ho jaye

*Sabse bade rogi [patient] ve hain ,jinme dhairya [patience] nahi hai

No comments: