कोलकाता से कोलकाता via kanpur ludhiyana ke bahane bahut kuch likhane ki koshish kayee dino se kar raha tha, likha bhi par post nahin kar paya. hua kuch is tarah se bhadasi saathiyon ki aajkal man bada udas hai. ek to kuch hi dinon mein dil mein bas gaye saathiyon ko chodane ka gham (inext kanpur ke 8 mahine), phir kuch gharelu samasya aur yahan (kolkata) pahuncha to nandigram ne bechain kar diya. kuch kar nahin paa raha hoon. nandigram ki isthiti kaafi vikat hai. pata nahin kitane maare gaye, pata nahin kitni mahilaon ke saath rape hua, par hum kuch nahin kar paaye, kisi ne kabhi kaha tha ki bandook nahin kalam nikalo, akhbar nikalo, kuch aisa hi, yaad nahin aa raha. par bengal mein sab bekar cpim ki dadagiri charam par hai, ngo, crpf aur aam log kuch nahin kar paa rahe hain. kendra ka rawayia bhi dhulmul hi hai, isi bahane nuclear deal ke mamle ko saltane mein lagi hai. khair yeh sab chdiye. pata nahin kahan bhatak raha hoon, man se bhi aur likhane mein bhi. cheejen betarteeb ho rahi hain. nandigram mein jo hua, so hua, tasleema ke bahane kolkata jaise shahar mein curfew lagana pada, army utarni padi, isase aur chot pahunchi. ek to yeh sochkar ki jab desh jal raha tha un paristhitiyon mein bhi kolkata ke log nahin bhadake, phir choti si baat par itna gussa kyon. kahin rijwan ka gussa to bahar nahin aa gaya. budhijeeve verg, jo kolkata aur bengal mein to kam se kam left ka himayati mana jata tha, aaj iske virodh mein khada hai, par sunane wala koi nahin.
wahin kal subah-subah ek patrakar mitra ka phone aaya bole yaar kayee din to nikal gaye kayee headline mili, nandigram, lucknow blast, guwahati blast aur jaane kya-kya ginate rahe, aaj kuch nahin hai. front page ki lead kya banegi, yaar kuch batao samajh mein nahin aa raha hai. ab main unhe kya batata, lead to kayee hai, ek sajjan hain kolkata mein jo desh ki azadi ke liye lade 1901 mein paida hue aur aaj bhi sahi salamat logon ki muft chikitsa kar rahe hain unani padhati se, kya wag front page ki lead layak nahin, par nahin kah saka, janata hoon mitra hansenge, chup raha, tab tak tv par khabar aayee assam mein kayye jagah dhamake, mujhe laga mitra ko front page ki lead mil gayee, maine sochana chod diya kyonki ki lead taiyar thi, ab kal ki sochen ki kahan kitane maren aur hum lead banayen, luck mein 16 to guwahati mein 20 aur agali lead....? bas bhayiyon sab lead ka khel hai aur hamari raji-roti, par ab dar lagane laga hai, is khoon sani roti se, aise kaam se jahan kisi ki maut par hum khush hote hain, jitani maut, utani badi lead 2 column, 3 column yaa banner... ab lead ka yah khel nahin khela jaata...
No comments:
Post a Comment