dear Sndeep ji..
Aapne itna socha iske liye mai aapka shukraghuzaar hoon , Aapne kaha ki 'apne kuch anubhaon ke dam pe' ye baat 100% sach hain anubhav ke mamle mai abhi tak kora hi hoon aur is sandarbh mai lagataar prayasrat hoon.
Doosari baat mai apni hi biradari ko gali nahin de sakta...jo meri rozi rozgaar ho uske saath Gaddari Na-baba Na. 'Doodhnaath ji' ne kaha tha ki, Gaali bhasha ka hi ek hissa hain aur agr iske istemaal se aapki abhivyakti ko bal mile to iska istemaal karne mai buraai nahin (kuch khas jagahon par).
Photo ke liye- Mehnat isliye kee ki shayad aap is ghatana ki Gambhirta se waqif na ho...aur agar aap hain to ho sakta hain ki auron ko iski zaroorat ho.. (mughey vastav mai in tasveeron ne kai dinon se dang se sone nahi diya hain)
..aur Maafi chahunga agar mere likhe se Buddhijeevee hone ki boo aa rahi hai to isme meri koi ghalti nahin kyoki patrakaarita cheez hi aisi ki wo apne prati imandaaron ko aisa bana deti hain...mere kahane ka matlab ye ki apne aas paas se Bakhabar rahane ke liye buddhi ka istemal majboori hain.,
Ant mai Blog par vastav mai koi roktok nahin honi chahiye..khastaur par BHADAS mai..iska to headliner hi yahi hain... अगर कोई बात गले में अटक गई हो तो उगल दीजिये, मन हलका हो जाएगा...
Na sahi mere seene mai tere seene mai sahi
hai kahin aag to aag jalni chahiye
Sirf hangama khada karna mera maqsad nahin
apni koshish hai ye soorayt badalni chahiye.
Dusyant Kumar..
abhimanyuji main aap kee neeyat per shaque nahi kar rahaa likin aaj k jo lekhan (chahe jaisa) en charan paramparaa chal gayee hai main uske sakht khilaaf hoon.. main khilaf hoon us andhe virodh ke bhi jise godhraa aur modi to pratah smarneey lagte hain lekin 84 k dange,guvahati aur nandigram unhe nahi dikhte.
ReplyDeletekisi sahab ne Punjabi me khoob kaha hai (Shayad patrkaron k liye hi)
ReplyDelete""Mulla te mashalchi dowo ekke chitt.... loga kar den roshni, aap andhere wichh""