Mai 4 september ko CST terminus Mumbai par raat ko 9 baje pahuncha, wahan se 11:25pm ko Chhutane wali Superfast train se ek frinds (jiska ticket confirm tha) Ko c/o karne gaya tha, Wahan par pata chala ki ek aur uske friends without reservation ke uske saath ja raha hai. Mujhe gussa to bahut aaya par kuchh bol nahi saka. Main uske liye general ticket lene ticket counter par gaya to wahan ka nazara dekh kar hairan ho gaya. Ticket counter pa jitne bhi ticket clerck baithe mile wo sabhi kasab jaise terroriston se jyada bhayanak lage.Sabse pahale main mail gadiyon ke liye jo ticket counter hai wahan par (jis taraf 26 / 11 / 2008 ke Shaheedon ke yaad mein shradhanjali arpit karne ke liye patthar lagaye gaye hai) main platform ticket wale counter ke baad 3rd counter par line mein lag kar jab 2nd no. par tha , aur jo maine dekha woh terroriston ke aatank se bhi jyada bhayanak laga. Mujhse aage wale yaatri ne shirdi ke ticket ke liye 450 rupaye diye (100 ke do note aur 50 ke 5 note) lekin badi haath ki safai se usne 50 ka ek note neeche gira diya aur bade pyar se bola tumne mujhe 400 rupaye diya 50 aur laao.Aur usne 50 aur lekar hi tcket diye (ticket 432 rupaye ka tha). Itne mein mere left side mein ticket clerk ne galiyon ki shuruaat kar di woh lagataar do ladkon ko galiyan diye ja raha tha, sirf isliye ki usne 6 rupaye dene mein der kardi thi, 10 ka note diya to usne baaki 4 rupaye nahi loutaye,saath mein galiyaan dekar chillaya, aur bola mere wale counter par baithe ticket cMai 4 september ko CST terminus Mumbai par raat ko 9 baje pahuncha, wahan se 11:25pm ko Chhutane wali Superfast train se ek frinds (jiska ticket confirm tha) Ko c/o karne gaya tha, Wahan par pata chala ki ek aur uske friends without reservation ke uske saath ja raha hai. Mujhe gussa to bahut aaya par kuchh bol nahi saka. Main uske liye general ticket lene ticket counter par gaya to wahan ka nazara dekh kar hairan ho gaya. Ticket counter pa jitne bhi ticket clerck baithe mile wo sabhi kasab jaise terroriston se jyada bhayanak lage.Sabse pahale main mail gadiyon ke liye jo ticket counter hai wahan par (jis taraf 26 / 11 / 2008 ke Shaheedon ke yaad mein shradhanjali arpit karne ke liye patthar lagaye gaye hai) main platform ticket wale counter ke baad 3rd counter par line mein lag kar jab 2nd no. par tha , aur jo maine dekha woh terroriston ke aatank se bhi jyada bhayanak laga. Mujhse aage wale yaatri ne shirdi ke ticket ke liye 450 rupaye diye (100 ke do note aur 50 ke 5 note) lekin badi haath ki safai se usne 50 ka ek note neeche gira diya aur bade pyar se bola tumne mujhe 400 rupaye diya 50 aur laao.Aur usne 50 aur lekar hi tcket diye (ticket 432 rupaye ka tha). Itne mein mere left side mein ticket clerk ne galiyon ki shuruaat kar di woh lagataar do ladkon ko galiyan diye ja raha tha, sirf isliye ki usne 6 rupaye dene mein der kardi thi, 10 ka note diya to usne baaki 4 rupaye nahi lerck se "kisi saale bhaiyye ko ticket mat dena" Jab mera no. aya to usne wohi kiya usne mujhe ek line mein jawab diya "Yahan par bhaiyye ko ticket nahin milta hai,yeh counter sirf Marathiyon ke liye hai, tum Marathi hai" Mujhe Patna ka Train no.2141 superfast exp.ka ticket chahiye tha ,mere baar baar kahane ke baavjood usne ticket nahi diya. Jab ki har ticket counter par likha hai kahi se bhi kahi ka ticket le sakte hai. tab main reservation counter side wale ticket counter pe gaya, north se second counter par baithe ticket clerk ne mujse 253 rupaye(Mumbai to Patna) ki jagah 263 Rupaye liye, jab maine usse pucha "10 rupaye zyada kyo liye" to usne bola "superfast ka 10 rupaye extra lagta hai." jab maine use ticket dikhakar bola "ticket ka kimat to 253 rupaye hi hai" to usne bola "humlog 10 rupaye zyada lete hai" mere chillane ke baad 5min. ke baad usne 10 Rupaye wapas kiye. uske bagal main sarvajanik shauchalaya hai jisme bhi urinal(pesab karne ka) ka bhi 1 ya 2 Rupye lete hai, jab ki board pe urinal free likha hai.ye wohi CST Station hai jahan nafrat ke shikar bante uttar bhartiyon ne hi un railway staff ki apni jaan par khelkar,unki jaan bachayi thi. chaahe woh chay wala ho ya jhillu yadav jaise police karmi ho, ya phir NBT (Navbharat Times) ke patrakar Cameraman ho ya phir NSG ke Commando ho. ye sabhi bhartiya hone ka saboot dete hai lekin bhartiya rail main kaam karne wale yeh karmchari bhartiyata ko chhor kshetriyata ka gun gaan karte hai, aur jo unke liye jaan ki baazi lagate hai unhi ko gaali dete hai. dusri aur ticket ke zyada paise lena unki aadat ban chuki hai, pata nahi ye bhikh hai ya rishwat. agar bhikh hai to road par bhikh mange, aur rishwat hai to khulkar maange.
main rail mantralaya se ummeed karta hoon ki aise bhikhariyon ya rishwat khoron ko kum se kum ticket counter par na rakhe, shayad yehi wajah hai ki pichle 5saal ko chhor kar railway hamesha ghaate (loss) main rahi hai.
Main aapki baat se sahamat hoon, aisa mere saath beet chuka hai kurla station par .Maine ani kahani to nahi likhi par sachhai likhi hai," Yeh sarkari bheekhari aur chor hain ". Thank You
ReplyDelete