17.10.10

Netaji ka Daura

netaji ghoom rahe aaj gaaon gaaon hain ,
beet gaye paanch varsha ,aaya chunaaw hai .
karne mein deshbhakti saaree laga dee shakti
bojhil see deh huyee thakte se paaon hain.
netaji ...............
ai waadaakhwar yahan gadabad hai samachaar
aayee hai baadh aap kaise chalenge paar;
tej badee dhaar ek dagmag see naava hai,
beet gaye paanch varsh aaya chunaaw hai .
netaji ..................
jal ko nihar rahe , man hee man haar rahe
shokmagna netaji karte vichaar rahe ;
itane mein chamachaji dete karaar hain
'saahab bhi chinta to karte bekaar hain.
yahan jaayen ki na jaayen kuchh na phark padata hai'
'kyon?'
'apnee jaati ke hain apne parivaar hain '
'aha! phir kahna kya ! inakaa to rakkhaa hai
chalo us or jahan gairon ka thaaon hai '.
netaji.........
gairon ke grih gaye gusaain
maaik se mukhachandra sataayee
'hamko mat dene mein
yoon mat sharamaaiye ,
he data matdata , kuchh to taras khaiye .
bojhil see deh huyee , usapar beemaar hain
thay chaakoomaar kabhi abto laachaar hain
shakti ke megha jara ham pe baras jaaiye
hey data matdata kuchh to taras khaaiye.'
wihwalata mein gaye bhool ki hain gairon ke dwaare
lage lagane apne atipriya jaatiwaad ke naare :
'dharma par na dhaam par,
baabar par na raam par,
image par na kaam par,
de jaati ke naam par .
wakta ke paigaam par
de jaati ke naam par !'
gairon ko yah baat na bhaai
patthar phenke kiyo pitaayee.
chamjee ne liyo bachaai
jantajoo ko geet sunayee:
' ai phekne waale tere haathon mein agar patthar hai
to ye hamara neta bhee kuchh kam naheen thethar hai .

girte huye ye patthar inako na diga payen
ab aap ki dwaaron se bolen ye kahn jaayen
girte..........
ye maar mubarak ho aaao ye duaa maangen
is baar bhee netajee bhaaree se vijay paayen
girte............ '

aur janta bolee
'ja ja ja re
ja re saare tujhe ham jaan gaye
kitane paanee mein tum
pahachaan gaye
ja ja ja re tujhe ham jaan gaye .'

2 comments:

  1. befitting to the election time. before netaji comes on dais this should be sung by audience(bholi janata).

    ReplyDelete
  2. befitting to the election time. before netaji comes on dais this should be sung by audience(bholi janata).

    ReplyDelete