13.4.11
Anna Hazare ke sath hum
Bharat ek lok-tantrik desh hai..par aaj kal bhrastaarchaar ke TANTRIKO ke bich fans gaya hai.aapka per chahe daldal me fansa ho..aapka dil kise ke chakkar me fansa ho..ya kisi producer ka pesa kisi flop film me fansa ho..nikaalna mushkil hai…agar kichad se apni mehgi ball nikalni ho to haath kichad me dalna hota hai..haath ganda karna padta hai..or ye bhi risk rehta hai ki aas pass wale log dekh lenge to kya kahenge.kesi kesi nazaro se dekhnge..par ye masla kichad me ball nikalne jesa hi hai…yaha koi aage aake ball nahi nikalna chahta par koi ball nikalta hai to hum usski hausla-aafzai jarur karte hai,ye ek achchi baat hai humme. Sahi waqt pe sahi kaam hona hi sahi disha me badlav lata hai..jab libia,misra me kranti ho rahi hai…kai jagah safal bhi rahi hai..uss waqt Hindustaan me Anna Hazare ka ye kadam,ek sahi disha me sahi kadam hai.pura desh world cup jitney se jyada khush hai ki anna ki mange maan li gai..Par ye kaam aaj se 10 saal pehle ho jana tha..par hume corruption se jyada chinta iss baat ki thi ki yaar 28 saal ho gaye world cup bharat nahi aaya.10 saal pehle ye chinta hume khai jaa rahi thi ki madhuri ne to shadi kar li ab no.1 kon..thode or saal pehle ki baat kare to ye chinta thi ki prince ko khadde me se kon nikalega…or pehle aaye to ye chinta thi ki Mihir mar gaya to tulsi ka kya hoga…ya BAA aisa kya khati hai jo abhi tak zinda hai…kyonki aaj kal mamla to milawat ka hai…or milawat ki duniya me 60-65 se jyada jeene wale ko vese bhi BHATAR-RATN de dena chahiye…or or abhi to ye bhi chinta hai ki Sachin ko bharat-ratn milega ya nahi…bharat ke kai aisi bujurg bhi hai jinhe mahine ki pension pichle hai mahino se nahi mili hai..uski chinta nahi hai…kyonki usme glamour nahi hai na… Anna ne har desh vasi ke anna ka avatar liya or Anshan kiya.kehte hai ki “yada yada hi darmasya glani bhavti bharat…….”.jab jab dharti pe julm bhadega ek AVTAAR paida hoga jo Nyaay dilayega…lekin yaha bhi hum thode se swarthi ho gaye hai…jo humare liye lad raha hai…jisne bharat ke manushya k liye Anshan kiya…humne ussi ko akele bhooke rehne k liye chor diya,,,koi or bharat ki veer bhoomi me itna veer nahi tha ki Anna Hazare ke saath bhooka reh sake..5-6 shaharo me kuch logo ne Anshan jarur kiya tha…par usko media ne importance hi nahi di.kyon ki phir wahi baat kahunga…glamour nahi tha naaaa… Anna Hazare or unke sathoyo se vinti hai ki wo apne is prayas ko,badlav ko anteem roop deke hi mane..kyonki mein bhollkad jyada hu.aapne is kaam ko bich me chor diya to mein bhi bhool jaunga ki ek karnti iss desh me bhi aa sakti hai..phir koi Anna paida ho na ho..phir koi bhook shayad na reh sake iss desh k liye…kyonki jesa ki sabko gyat hai hum pehel karne me achche bhale hi na ho par bhed chaal me humari chaal masha-aallah…Anna ko badhai..
No comments:
Post a Comment