24.9.11

रोमन हाइकु १२

*Aage sochna
Bekaar hai ab to
Chidiya udee
*kahte raho
koi asar nahi
kisi baat ka

*Aap apni
Izzat bachayiye
Main chalta hun

*Koi jeevan
Bekar nahi jaata
Pagal ka bhi

*Bahut pyar
Kiya maine sabko
Mujhe kya mila ?

*Mat ho jao
Bahut zyada aardra
Manav premi !

*Zindgi jeena
Ek ibadat hai
Kam to nahi !


*Har vyakti hi
Ek avtar hai –
Nagnavtar

*Film ko film
Ki tarah dekho
Yatharth nahi

*Lagta jaise
Jeewan , ab shuru
Hua , fir se
*Main jo khata hun
Wahi kha sakta hun
Balayi nahi

*Samanta ke
Mare , hum bechare
Kaun ubare !

No comments:

Post a Comment