*Ydi hum bhrashtachar ke khilaf kaam krenge to naxalvadi bhi jis tarah paisa ugaah rahe hain , we bhi to chapet me aa jaynge ?
* slogan hai – Bhrashtachar Mitao’ Log apna kam bhala kis par taal rahe hain ?
*Bhrashtachar khatm karne ka sahi upaay koi bhrashtachari hi bata sakta hai *Ydi hum bhrashtachar ke khilaf kaam krenge to naxalvadi bhi jis tarah paisa ugaah rahe hain , we bhi tochapet me aa jaynge ?
* sab kuchh soch – vichar kar bolna ,aaga-peechha sochkar baat karna , door tak soch kar vyavhar karna hi raajneeti hai Aur aisi rajneeti karni har nagrik ko aaye , to isme kya burai hai Yeh to achchhi baat hai Yeh sabhyata aur sanskriti ki politics hai Rajneeti mooltah vaisi buri nahi hai jise hum dekh rahe hain , jiska hamare samaksh pradarshan kiya ja raha hai ###
* CHHOTE LOGON KI IZZAT
Main soch rahan hun ki apne saathiyon ,mitron aur bachchon ko kaise likhkar samjhaun ki ve chhote se chhote logon ka bhi aadar karna seekhen , unhe bhi poori izzat bakhshen Unka bhi maan –samman karen jo tumse nimna sthiti me hain ? To wh yeh sochen apne primary school ke teacher ke bare me jiski kuul quabiliyat se kahin zyada ve aaj parh-likh gaye hain Par kya hum use adne master se zyada bade ho gaye ho sakte hain ? Nahi , wh “ka, kha, ga, gha” , pahada ratane wala ab bhi mujhse bada hi hai , aur hamare aadar ka paatra - - - - - - - - - - - Aur wh ungli pakad kar chalna sikhane wala boorha – nirakshar Dada ? Wh kahaniyan sunakar sulane waali anpadh dakiyanoos Naani ? Wh kandhon par bithakar Khet- bagaan ghumane wala asahay Baap ? Mele ki sair karane wala dehati bada bhai ? - - - - - - - - - Fir , gaadi to ab hai na tumhare paas ? wh chhotka chacha jo bicycle ke carrier par bitha kar door- door baarat le jaya karte the ? ? ? ###
*Jo “aadmi” bana ne chale the [Dharm] unhone bhi “AADMI” nahi banaya Jo samaj banane chhale the [samajvad] unhone “SAMAJ” nahi banaya Har kisi ne sirf “RAJYA” par nazar rakhi Ab rajya ka kaam to hai nahi “VYAKTI” ya “SAMAJ” banana ! ##
* Kathit achchha kavi hone ke liye ek kaam karo Koi rajneetik karan bana kar giraftar ho jao aur jail chale jao Tumhe mahan krantikari kavi maan liya jayega Yeh vyangya shiksha Hari shankar parsai ke ek kathan se lee ja sakti hai
*Bahut achchha sahitya rachte hain log Main to bas palde me Tulsi Dal rakhta hun
*Aurtein sabhi banayi gayi moortiyan hain “aurtein paida nahi hotin” To fir kaisa naari aandolan ? kaisa stree-swatantrya ?
*Parhe-[shikshit] kewal unhe kaha jana chahiye , jinhone parhna abhi bhi jaari rakha huwa hai
*Jinki kitabon me naitikta ki zyada batein hoti hain , unki naitik drushti utni hi kamzor hoti hai
*Meri patrakarita sirf tathya, tark aur vichar hi nahi , samajik ladayi ka ek maidan hai
*Kisi kavi- shayar ke liye Ishwar _Allah koi samasya nahi ho sakta wh sabka sunder ,yatharth aur manveey prayog kar leta hai -Kidhar se barq chamakti hai “ wh hame uski disha bata deta hai
* DALITARTH = Dalit ,savarn sahanubhootik lekhan ko dalit lekhan na manen ,ya savarn ,dalit lekhan ko sahtya hi na mane to isme koi kya kar sakta hai ? Lekin un practicing-uninvolved sahitya lekhan ke do udaharan meri jankari me hai Ek shayar the Sahir Ludhiyanvi Ve aajanm kunware the , lekin nar –naaari sambandh ki bareekiyon par unhone nayaab kavitaein kin Isee prakar ,ek shayar the janab Riyaz khairabadi unhone kabhi sharab ko haath nahi lagaya ,lekin maykashi par shayri ka jhanda gaad diya Ab aage mujhe sirf yeh jodna hai ki Rishi valmiki ,Sant Ravidas hon ya adhunik dalit jaati ke tamam chhupe rustam sahitykar, ve savarn / kalavadi lekhan me kisi bhi savarn lekhak kavi –rachnakar se tanik bhi unnees nahi hain Ye udaharan bhala hamen kya sandesh dete hain ?
*RULERS HIDE , The philosophy of Achchha shasak wh hai jo chhip kar shasan kare Ishwar ki tarah Jo prataksh na ho Log uski moorti ko raja bana kar apna shasan chalayen ,wh aur baat hai Ya uski khadaoon ko rajgaddi par bithayen shasak dwara tax vasoolne ke bare me to kaha hi gaya hai ,ki jaise madhumakkhi foolon se ras leti hai Isee prakar shasak ko aisa shasan karna chahiye ki kisee ko pata hi na chale ki koi shasak bhi hai Tabhi wh us se darega bhi , us se prem bhi karega , aadar bhi aur pooja bhi Wahi shasan chal paega Wh nahi ki jiska chehra roz savere dekhe aur apne man me use har din badalne- banane ka dambh bhare
*Jinko cigarette nahi pilana hota , ve cigarette chhodne ka updesh pilane lagte hain
*Agar Roos me samya vad safal nahi hua to is par hamare khush hone ka koi karan nahi hai Na yehi hamare prasannta ka vishay ho sakta hai ki bharat me Gandhi vad safal nahi hua Dono ghatnayen dukhad hain Badi cheezen theen manushyata ke hit me dono ke paas dono ko jeewit rahna chahiye
*Vote dene ki mere dwara nishchit prathmiktayen :-1- Dalit stree 2- Dalit Hijada 3- Dalit Purush 4- Stree [kisee bhi jaati ki] 5-Koi dalit Party 6 – negative or for Presidential system 7- Kisi ko bhi nahi
*BHARAT ME HINDU RAJYA
Kya yeh tareeka kargar nahi ho sakta ki jitne hindu hain ,sab apni kaum secular likhne lagen udhar samvidhan secular hai hi Aur is prakar bharat me hindu rajya sthapit ho jaay ?
*Kabhi-kabhi kartavya-vimukhta bhi kartavya- parayanta ka paryay ban jata hai Ban sakta hai , aisa maine samjha Vyavharik ran neeti ke roop me bhi kabhi ise apnana pad sakta hai Anubhav hai ki ati-kartavya nishth vyakti ka parivar atyant aaramtalab, nishchint aur kahil ho jata hai Aise me ydi mukhiya thoda sa apne kamon me dheel de de to karm me anya sadasyon ko jhakh maar kar ruchi leni hi padegi aur ve sakriya ho jayenge Anyatha to kartavya sheel vyakti ke vat-vruksh ke neeche koi karm sheel paudha panap na payega
No comments:
Post a Comment