26.9.11

Janta say Roman

*Janta ko kuchh bhi sochne ka adhikar hai bhale hi uske hit ke pratikool ho
*Gaadi chahe WagonR ho ya Santro ,ya aur koi , unme parne wala Petrol Ek hi hi hai
*Asharf-ul-makhlookat [janwaron me shreshtha] to hai hi , yadi wh ‘aadmi’ hai / [Lekin sabhi nahi , kewal whi jo ‘aadmi’ hain] ##
*Ishwar , bhrashtachar aur plastic bags [condom se lekar balti tak] aadmi ke jeewan se jane wale nahi hain ##
*Hindustan ka hindu bharat me hindu rajya ke liye vidroh- utpat na kare , yeh to bahut achchhi baat hogi Lekin buri baat tab ho jaygi jab hindustan me Islami shasan ke prayas tez ho jayenge [RajKaj]##
*Asafal aise bhi hona hai, Asafal vaise bhi hona hai To kyon na aisi asafalta ka varan karun , jisme kuchh koi prayog kar jaun ! [personal] ##
*Hum galat karte hain ya sahi , apne mann ki karte hain Hum kisi sangathan ke prastav par hastakshar nahi karte [personal]##
*Mere jhagdalu [cantankerous] swabhav ke bavjood kuchh log mujhse mitrata banaye huye hain , apna prem darshaye huye hain , iske liye ve mere dhanyavad ke paatra hain [personal] ##
*Darshan ka kaam hai , ya hona chahiye , jeewan ko halka karna Kabhi yeh tha jeewan ko jaan na Ab jan na bhar paryapt nahi hai ###

*Main vigyapnon ka kisi shddhata vadi drushti se virodhi nahi hun bas baat yeh hai ki yeh saari creativity , creaive vyaktiyon ki personality aur activity ko apne andar samet leti hai jo , anyatha , achchhe kavi , lekhak , sahitya kar , chitrakar , murtikar ban sakte the aaaisa nahiho paya kyonki vigyapanon ke paas akoot paisa hai jiski lalach me log iske haathon apne ko beche huye hain Gyatava hai ki aaj ki saari creativity saari sahityikta vigyapanon me lag hui hai ,aur kala ke anya vidhaon ki maang sooni hoti ja rahi hai } ###
*Jo vyakti vinamra nahi hai , wh sahityakar nahi ho sakta Yeh baat main kathorta poorvak kahna chahta hun ###
*Jitni baar mandir padenge , utne baar sir jhukaoge to gardan tarhi ho jayegi ###
*hindustan ke teen naam to hain hi – India , bharat ,hindustan To fir teen bhashaon me kya aapatti ? ###
*Kisi doosre brahman ko na dekhiye Apne brahman ko dosh dijiye ###
* Jab tumhe koi achchha kaam karna ho aur uski koi logistik ,koi tark ,koi auchitya doondh na paa rahe ho , to uski zimmedari kisi gurujan ,kisi guru granth ,kisi dharm ko sanp do kah do , aisa hamare mohammad saheb ne kaha hai ya ram krishna –gautam buddh-sukrat aadi sankoch na karo ki inki baaten tum kitna jante ho ye sab hamare purkhe hain ,aur zahir hai hamare bhitar baithe huye hain Ye kisi sampraday ke gulam nahi hain , poori manavta ki thaati hain Inke naam ka bahana banane me bhi koi harz nahi hai , khaskar tab ,jab tum koi achchha kaam karne ja rahe ho ,aur tum andar se mahsoos karte ho ki yeh achchha kaam tumhe karna chahiye , par duniya dari ke chalte wh tumhare parijanon ko pasand nahi aa raha hai Unhe samjhane ,apne paksh me lane ke liye apne gujishta vibhutiyon ka sahara lo
Yun iske liye hum apne mata-pita ,dadi dada , nani nana ka bhi hawala de sakte ho Par unhe tarjeeh kam milega bada banner – bada kaam Aage barhkar vivekanand ,gandhi ,gurudeo, nanak ,kabir , ambedkar, marz , raidas ya anya ,kaam ke waajib mahapurush ka bhi hawala diya ja sakta hai Par kaha na , jaisa kaam , vaisa naam Mool baat yeh hai ki achchhe kaam ke liye bhi ab chhadm politics ki zaroorat hai ,jis se tamam log uske samarthan me aayen Kewal apne zamir ka naam loon , to use kaun sunega bhala ? ###
* NOT MY BREAD , PLEASE MIND MY TIME YOU ARE EATING . [a BANNER in my room]
*Jane kaise yeh baat hui, ki mere mann me jitna aadar –sammaan veshyaon [prostitutes] ke liye hai , utna vaisa bhav ksi bhi aurat ke liye nahi paida hua ##
* Brahman ydi dalit ko admi nahi mante , to dalit bhi brahman ko barabar ka aadmi kahan maante hain ?###
*Bharat hindu rashtra hai to saty-vadi, asatyvadi , shantivadi –atankvadi , shah-chor-uchakke hindu na honge to aur kaun hoga ##
*Jaan yeh lijiye ki jo musalman ka virodh karega wh musalman ho jayga Sikh samuday ka to udai hi isee hetu hua tha unka kya hua Kya ve kuchh kam musalman huye ##

*AHSAN MAND
Aj meri kavitaen kuchh pasand ki jati hain To sochta hun iska shrey kisko jata hai ? Ydi main ek aatmvan , Rationalist ki bhanti sochun , to kah sakta tha yeh meri qabliyat ka natija hai lekin nahin mitra , itna dambh –ahankar mat paalo Un dinon ki socho jab tum shuru – shuru me kavitaen likhte the Tab balrampur [Gonda,U.P]ke do varisht kavi –darshanik ne tumhari kitni prashansa ki thee ! Ve aj se chalis saal pahle us umr ke the jis umr me main aaj hun , balki us se bhi zyada Shree Babu Jagannath Prasad ne kuchh manch ke naami kaviyon ko mujhe sun ne ke liye bheja tha Aur Guru Ji Nanak Chand Ishrat “Nishchint ” ne to gazab hi kar diya tha Us umr me unhone meri shaili me pachaas kshanikayen likh daali , aur is mukta kavya –vidha ko manyta di Jab ki wh dridh vyakarneey kavita – geet-ghazlon ke guru the --- Fir Gonda ke sri Laxmi chand Dadda ji ! Kitna shukriya ada krun , jitni prashansa unhone meri kavita –vidha shaili ki kiya Ab bataiye ,ydi in buzurgon ne peeth par haath na rakha hota ,to kya main kavita karna jaari rakh saka hota ? Ho sakta tha lekin nahi bhi ho sakta tha Isliye apne srujan ko apni yogyata na batao nagrik! Unka dhanyvad karo , unka naman karo Unhe yaad karke unko apni kala ki qabliyat samarpit kar do Dhayvad karo ki ve kisi andolan se nahi jude the Mkt kavi-man ke the Koi poorvagrah , koi prejudice unke man me na tha varna ve aj ke samay ki tarah ve kyon mujhe aage badhate ? Main kyon aage barh paata? ###

No comments:

Post a Comment