26.9.11

Yog Kathan Roman

*Yog guru jan ydi shavasan ki mudra me aa jaayn to ka kalyaan ho jaaye ! @

*Shayar logon ko yeh galatfahmi to hoti hi hai ki shayri kewal wahi kar sakte hain #

*[ soochna ]
Haj jane wale bhartiyon ko wahan HINDU kaha jata hai ##

*Mahan [dikhne/lagne wale] logon se milkar bahut utsahit na hon aap ka utsaah ksheen bhi ho sakta hai , us vyakti ke bare me baad me poore jan ne par bade dhokhe hain is kshetra me bhi kaha hai na , har chamakdaar vastu sona nahi hota isliye aise avsaron par apni uttejna thoda apne kabze me rakhen ##
*Main kisi ke ghar jata hun to wahan mez par pade akhbaar se mezban ka shaikshik, sanskritik , mansik star bhaanp leta hun Fir unse usi prakar shishtacharvash baat – vyavhar karta hun Soochna dukhad hai ki mere adhikansh nikat – sambandhiyon ke ghar Dainik Jahran milta hai ##
*kamuniston ke paas unke liye Koran jaisi qitaab to ho sakti hai ,lekin Islaam ki tarah hadees to nahi hai ,jo Mohammed Sahib ke dainik jeewan ke vyaktigat aacharan se sambandhit hai ? Marx-Lenin ka bhi jeewan charitra hai par us shreni ka nahi aise me saamya vad kya khakar Islaam ke samaksh khada hoga ? #
*ydyapi main kahne ko communist nahi hun ,par kamuniston se zyada pro – mazdoor hun kamuniston ka mazdooron ke prati vyaktigat vyavhar se hamara anubhav kuchh santoshjanak nahi hai ##
*Jab sabhi hamse jhooth bolte hain, to main bhi kisi se jhooth kyon na bol doon ki main yumse pyar karta hun? #
*Aap kya zindbi baghaar rahe hain , us se hamein koi matlab nahi hai Aap kya zindgi jee rahe hain , hum wh dekhenge #
*Jitni thakan ki ummeed thi utni to nahi lagi mujhe is kaam me !
*akhbaar apne kiye ka hi fal bhugat te hain Subah se sham tak aur uske baad unki kya gati hoti hai , yesab to jaante hi hain unka dil bhi khoob jaanta hai #
*Mainaapke himmat ki daad deta hun jo is umra me aapne fir ek shadi rachayi , ek naya zahmat mol lene ka sahas kiya #
*Mazdoor wahi hota hai , jiske paas sharir dhan –shram kshamta ke alawa anya koi poonji ya kaushal nahi hota Iseeliye vrshya ko sex worker kaha jata hai #
*Ek aadmi ke mahan ban ne se hazaron logon ko chhota hona padta hai #

No comments:

Post a Comment