5.10.09

kya tumhe nazar nahi aaya

swatantra kahu partantra kahu main
mujhe samajh nahi aaya
desh hua fir se gulam kya tumhe nazar nahi aaya
chaaro taraf barbadi or atank ka mahol chaya
desh hua fir se gulam kya tumhe nazar nahi aaya
angrezo ne jab chini thi hamse yeh aazadi
humne dekha tumne dekha na karne di manmani
par apne jab khoon choos rahain hain mulk ki izzat loot rahe hain
kesa nasha yeh tum par chaya sirf mene dekha par kya tumhe nazar nahi aaya
angrezi ne raaz jamaya hindi ka sthan paaya
ab jeet par apni hansti hai taane hindi par kasti hai
dekh hindi ki esi halat jab mera dil ghabraya
sirf mene dekha par kya tumhe nazar nahi aaya
pashchatya sanskriti dol rahi hai raaz humare khol rahi hai
hum angrezi raaz main rahte hain kapdo ki halat bol rahi hai
paschatya sanskriti ne desh main apne yeh kesa raaz jamaya
sirf mene dekha par kya tumhe nazar nahi aaya
mardo sang atyachar hue stri sang balatkar hue
jab isi mulk k logon dwara yeh desh mera khallas hua
ese ese kanoon bane insaf nahi nainsaf hua
ab puchti hun main tumse kyo rolect act yeh paas hua
dekh dhara ki esi halat jab bhagwan yaha ghabraya
sirf mene dekha par kya tumhe nazar nahi aaya.

No comments:

Post a Comment