Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

Showing posts with label पहला खत. Show all posts
Showing posts with label पहला खत. Show all posts

1.6.08

पत्रकारिता में काला धन कमाने की प्रवृत्ति कैसे रोकेंगे?

Hi yashwant ji,
nice to see u r blog. plz abuseing language se bache.




i am realy big fan of u r blog bhadas. hindi karna mushkil hain phir bhi koshish kar raha hoon. ummid hain mere eas sawal ko aap apne blog me jarur jagah denge.



mera parichay aap media guru se hi karwaye. i am also a teacher..



sir ji mera sawal hain ki kya imandari se jina journalism me koi gunah hain? ummid hain aap se jawab bhi milega.... to sawal hain ... journalism me dhire dhire jo kala dhan (black money) kamane ki prvatti (nature) bad rahi hain usko kya roka jaa sakta hain? ho sake to blog me jagah de..


aur eak jaankari aap ke blog ke liye plz mera name hide rakhe ....( ये जानकारी हटा दी गई है )


.. dhanywad

Media Guru




(भाई मीडिया गुरु, आपकी तारीफ के लिए धन्यवाद। गालियां हम नहीं देना चाहते पर शहर के कुछ चिल्लर टाइप हिप्पोक्रेट लोग उंगली करते हैं तो गरियाना पड़ता है, आगे से ध्यान रखा जाएगा। आपने जो सवाल किए हैं वो काफी बड़े सवाल हैं और इसका जवाब तुरत फुरत नहीं दिया जा सकता। वैसे, इस सवाल का ठीक ठीक जवाब अपने फायरब्रांड नेता डा. रूपेश दे सकते हैं। आप चिंता न करें, आप का असली नाम कभी नहीं खोला जाएगा, ये मेरा वादा है।.....यशवंत)

हे भड़ास, तुम दिल के करीब लगते हो

namskar sir,

pahle bhadas ka ek adna se pathak tha, ab bhi pathak hu, par adna nahi. padhta hun aur dusro ko bata-bata kar padhwata hun. media ki kamini rajniti se bahut pareshan hote rahe hai. koi batane ki himmat nahi kar pata tha. in dino thok ke baho me media institution khul raha hai. jagah jagah se sanskaran bhi nikar rahe hai.

bhadas ke madhyam se kam se kam itna to pata chal jata hai ki naukri ke mauke kaha hai. do sal pahle tak ham jaise gawar ptrakar ko pata chalte chalte sari niuktiya ho jati thi.

gawn ka ladka, na kisi se jan pahchan na kisi se dilli jaise sagar me rishtedari, DU se patrakarita ki, do salo dat sare media daftaro ke chhakar lagaye. kisi ne tin hajar ki naukri dene ka ahshan nahi kiya to bachakhucha samman lekar ek chhote shahar ke ek akhbaar me aa gaya.

yaha reporting karta hun. yaha bhi meri isthiti wasi hi hai jaise MA pas naukar se office boy ka kam le rahe ho. aaj bhi wahi aproach ke bina sirf naukri kar raha hu,

khair, aapki muhim dekhi. laga ki aapko kuch likh sakta hu. bahut kuchh karna chahta hu, koi manna nahi chahta, koi jan samjhakar najar bher leta hai. koi mauka nahi de rah.

-- Rajesh

(राजेश भाई, आपके पत्र को पढ़कर लगा कि मैं सात साल पहले की स्थिति में पहुंच गया हूं। कुछ आप जैसी हालत मेरी भी थी। कई छोटे बड़े शहरों में नौकरी करते, गलत नियमों-तरीकों के खिलाफ आवाज उठाते, लड़ते-भिड़ते आजकल दिल्ली में हूं। चलिए, आपके किसी काम मैं कभी आ सकूं तो यह मेरा भाग्य होगा। पत्र लिखते रहिए। ये पत्र आपसे बिना पूछे इसलिए भड़ास में डाल रहा हूं कि इसमें एक तो कोई ऐसी निजी बात नहीं है और दूसरी जो बातें हैं वो हम सब भड़ासियों जैसी ही है, तो आप तो अपने गैंग के आदमी हुए। .....यशवंत)