Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

8.4.11

kya bhrashtachar hai bhayi?

To Mr Satish Agrawal for his comment on Pankaj Chaturvedi status,[on  facebook]
            No sir,I am very serious,if you wish us to be really so. I ,spiritually ,can't be against corruption . Aap log is Bharteeya Devbhoomi ki aatma ko nahi samajhte.Jab tak Ayodhya me bhavya Ram mandir ka nirman nahi ho jata,Bharat se bhrashtachar nahi jayega.Hindustan ko lok-kalankit karne wali BJP aur Narendra modi ydi Anna ke saath honge,to kya hum Anna ke saath honge? Ye topidhari Gandhivadi us samay kahan the jab Ram masjid giri thi ? Aur abhi bhi ve is mudde par kahan tashrif rakhte hain ?Unka kya stand hai? kya ve ispar jaan dene ko taiyar hain? Kya wh kam bhrashtachar tha?Aap ki nazar kahan hai ?Kya bhrashtachar sirf rupye-paise tak seemit hai?Kartavya-vimukhta , bina shram ki roti khana , kisi pad-pratishtha-puraskar keliye chhadm-aacharan karna etc kya bhrashtachar ki shreni me nahi aata?aise me kahan thaharte hain Anna Ji ? sant to main bhi ho skta hun jise "KAHAN  SEEKRI SO KAAM" ?[SATYANASH,To hell with hypocricy/ by ugranath at nagriknavneet.blogspot.com]

No comments: