Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

6.1.08

dhanyawad, yashwant ji!

dekhkar khushi hui ki mujhe, yaddapi kuchhek sharton ke saath, swikar kar liya gaya hai. hindi ki jay-jay karna koi shart ho hi nahi sakti yashwant ji; yeh to atyant hi swabhawik hai. taklif is bat ki hai ki jab tak devnagri lipi me typing sikh nahi jaata, roman se hi kaam chalana hoga; ummid hai bhadasiyo ko isse jyada asuwidha nahi hogi.
aaj-kal ki patrakarita evam teji se badalte iske swarup ko lekar jehan mein kuchh sawaal the, sochha is manch pe rakhun, shayad chhoti si bahas ho aur kuchh thos nikalkar saamne aaye. jis tarah aaj-kal story ke badle uske display pe jor diya ja raha hai, mujhe chintajanak lagta hai. chahe khabar kitni bhi kamjor ho, tathyatmak galatiyan ho, prasangigta aur krambaddhta ka abhao ho, display se ise dhakne ki ek muhim se chhidi hui lagti hai.
khabar ke saath dikhne wale, shoulder, infobox, infographix, slug, pictures jyada mahatvapurna ho gaye pratit hote hain. headline aur strap ko 'akarshak' banane ke liye itni swantrata li ja rahi ki inka mool uddeshya hi prajit nazar aata hai. baat phir wahin pahunch jaati hai ki khabar mahatwapurna hai ki uska display, raja ki uska singhasan?
rango ke samanjasya pe itna jor hai ki vyakaran ke dosh ityadi to aprasangik ho gaye hain? hame bhi wahi sab karna padta hai kyunki hamare wariya sahyogi yahi chahte hain. unki bhi majboori hai, ve bhi badhya hain. ek story mein itne saare element ke istemaal se tathya ka jo dohrao hota hai woh alag. aise me ek purana sher yaad aata hai — 'ghazal me bandish-o-alfaz hi nahi kaafi, jigar ka 'khoon' bhi chahiye kuchh asar ke liye'
is mudde pe to likhne ko to bahut kuchh hai, lekin baaki baad mein. asha hai kuchh tippaniyan dekhne ko milengi.
darpan

No comments: