Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

Pyar Roman

*Pyaar aur baat hai
Saath rahna aur baat
Jinke saath hamen rahna hai
Un sabse hum pyaar to nahi kar sakte
Dunia ke har pranee , ek-ek manushya se
Par saath to rahna hai
Kyonki saath rahna hai
Bhale apni patni , maan-bahan ,beta-beti ki
Trah se poore taur par nahi
Wahi saath rahne ki kala chahiye hamein
Wahi democracy hai
Democracy kewal rajya ki neeti hai
Wh ek jeewan kavya – kala hai
Lok jeewan de deejiye
Uska sanskrutik naam
Iske aage pyaar thoda seemit
Sankuchit , vyaktigat jaisa
Lagta hai mujhe
Swaarthi aanand bhakti yatra
Par lok jeewan to
Sampoorn shrushti ka aanand hai
Chaliye , ise jiya jaaye
###

*Kaam to karenge
Chahe chori se karni pade
Chahe iimandari se karni pade
Hum kaam zaroor karenge
[ambiguous poetry]

*MAIN TO JAAGTI
WH BHI KAHAN
SOYA HUA


*Jane wh din kab aayega ,
Chakshu tera darshan paayega

* Vedmantra
kanon me padte hain
jaise
jalta huwa seesa

*Kuchh to farq hoga
Mujhme , aur
Us aadmi me
Jo main nahi hun !

*Tarakki hoti hai
Bahar ki ladki
Vyah kar ghar lane se ,
Sanskrit Pati,
Angrezi bahuriya se
*Mujhe pata hai
Too kahan chhipa hai
Lekin tujhe
Dhoondhne ka natak
To karna hi hai mujhe
Zindgi ke aais – paais khel ko
Manoranjak , ruchikar
Banane ke liye !
*Ve dono aapas me
Aise batiyate hain
Maano un dono me
Sachmuch prem ho !

*FIVE WAYS :-
1- brahman na hote
To main dalit kaise hota
Aarakshan ka paatra ?
2- BRAHMAN HAIN
Tabhi to main
Dalit hun
Aarakshan ka paatra !
3- brahman nahi hun
To main
dalit hi kyon hoonga
Aarakshan ka paatra ?
4- haaye !
Brahman na honge
To main dalit
Kaise hoonga
Aarakshan ka paatra ?
Atah,
jai hai he manu maharaj
Jug-jug jiyo
Hum mode payen
5- us janam me brahman
Is janam me dalit
Malaayi hi malaayi

No comments: