*Dear nagrik, now do not speak on matters of communalism and communism in front of friends who don’t speak, rather defend them they are either frightened or have been conditined or ordered by God to defend them If you don’t fear ,and you are visualising something else in these sects , pretend to be on the same lines as your friends are do not be too vocal against these communities , if you know their characters well Aur fir hum kar hi kya lenge , hamare karne se kya ho jayga ? to jo ho raha hai ,use hone do
*MAATR naam hi paryapt hai vyakti ko hindu- musalman aadi banane [ batane ] me
*Bhram :- hum apne jiwan me tamam tarah ke bhram me zinda rahte hain jitne hi ginaye jayen unki sankhya utni hi barhti jati hai par ek vishesh vyaktigat – paarivarik bhram batana chahte hain ek yeh ki jis se hum pyaar karte the ,us se ydi shaadi huyi hoti to hum zyada sukhi hote dusre usi se juda bhram bilkul ajeeb hai is mayne me ki us satya ko hum saamne roobaroo roz hum bhugat rahe hote hain, fir bhi hum man ne ko taiyar nahi hote ki jis aurat / mard ke saath hamara vivah hua hai , aur jiske saath hum rah rahe hain , uske saath hamari badi achchhi nibh rahi hai
*Bachchu , jab pyaar kiya tha tab nahi jana tha ki tum apni zindgi nark banane ja rahe ho ?
*[4/11/09] Vande Matram rashtr-gaan na hua ki – kya kahen ashlil ho jayega Iske khilaf fatwe ki fir pushti ho gayi ki yeh gai Islami hai , ise musalmanon ko nahin gana chahiye Iska virodh aazadi ke samay hi kya jana chahiye tha [Add- tabhi aur kaam bhi kiye jane chahiue the ] Ab is samasya ka ek saral upay meri samajh me aata hai ki ise Rashtr gaan ke sthan se hi hata diya jaay aur uske sthan par gaaya jaye -----“ khullam-khulla pyaar karenge hum dono “ tab shayad in do sampradayon me mel-milap ho
*Satyatah sahitya hame insan banata hai to sahitya ko bhi chahiye ki wh hamein insan banaye athwa aise sahitya ko hi sahitya kahna shreya hai jo vyakti ko aadmi banaye ##
*Sambandhon ke baare me jo bhi samajhdari ho , wh jab dono taraf se ho tabhi nibaah ho pata hai jaise vivah ke sambandh me aap pavitrata ke pakshdhar hain ya khulepan ke , yeh tabhi nibhega jab pati-patni dono ek hi tarah ki samajh rakhte hon ##
*Jo satta bandook ki nalee se niklegi , uske baare me yeh maana jana chahiye ki wh bandook ki nalee se hi chalegi ##
*Jo loge aandolan karna chahte hain ve is baat ka dhyan rakhein ki bharat ki police ka charitra kya hai ? aur tab apne samarthakon ko andolanon mein jhonkein
*Khushwant singh jaisa columnist ,lekhak koi aur nahin hai ,na hoga , aisa mera khyal hai Gazab ki lekhni hai !
*Sanskriti karm [cultural programmes & activities] bahut zyada sanskritik [cultural] athwa sabhya [cultured] nahi hain ,na hone wali hain inse bahut zyada aasha karna vyarth hai fir bhi ye rahengi aur apna prabhav bhi dalengi ##
*Angrezi ka virodh bhi mere liye isliye upyogi hai kyonki main is bhasha ko zyada nahi janta isme main apni baat theek se abhivyakt nahi kar sakta ,aur amreekan-briton uchcharan ko sun-samajh bhi nahi paata iske vipreet jo loge angrezi ka nirvah karte hain , unse bhi mujhe koi pareshani nahi hoti, kyonki utni angrezi to mujhe aati hi hai ##
*Ab ladkiyan mobile par baat karte huye asawdhanivash trenon se kat rahi hain , ya durghatnagrasta ho rahi hain , to iske peechhe bhi sambhavtah purushon ka haath hoga ! Han 1 ve kisi ladke se hi to baat kar rahi hoti hain ! usi ne uljha diya hoga Fir inhi ladkon ke nate hi to bechari ladkiyon ko apne maathe aur chehre se baal bar-baar haathon se peechhe jhatakna padta hai , varna ye haramzade ladke unke chehre theek se dekhte hi nahi Aur yeh muyi chust tight jeans bhi unhe ladkon ke bhay se hi pahan na padta hai , jis se kutte ladke sari-salwar ki tarah aasani se na faad payein aur balatkar na kar paayein isme bhagne me bhi aasani hoti hai itne saare zahmat to uthane padte hain is purushvadi samaj mein ! ##
*Hinduon me andhvishwas aur moorkhta failane walon ke putthon ki chhantai karne ke liye mujhe hindustan me hindu rajya chahiye #
*Khatayi khane se namardi
Aisa gyan janlok me prachlit hai yeh hamein bataya jata hai , aur hum maan jate hain mard hokar namardi ka khatra uthana aur fir lok ke itne bade anand se vanchit rahna bhala kaun chahega ! ab is gyan , vishwas ya andhvishwas ka apne taur par pareekshan karke sunishchit karna aur tab amal me lana kaun karega jaisa ki vaigyanik mijaz – dhara ya rationalism hamein batati hai bas hum yahin gachcha kha jate hain jo bhi gyan hamare vaktigat pareekshan ke dayre se bachkar samaj ke bharose gaya ,wh , hum kahne ko kuchh bhi kah kar bach lein , par wh hamare andhvishwas ke hi adhyay par aa gaya aur ydi matra aise kuchh futkar gyan sachmuch parampara ke vaigyanik gyan bhi hon , to isee ke sath tamam paramparaein gyan ke roop me aa jati hain jo andhvishwas hote hain , fir bhi hum unhe mannane lagte hain usi me hastrekha bhi aa jati hai , rashifal aur swapna-vichar bhi Ab ,in sabke liye bechre ek manushya ko kitna dosh de diya jaye ? use apmanit to na kiya jaye ! ##
26.9.11
nagrik say Roman
Labels: Citizens' blog
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment