Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

Saara Pyar Roman

*Saara pyaar bikhar to gaya
Pa alag , ya alag, ra alag ! ##

* Ab sochta hun
Kitni mamuli si baat thi
Unse milna , unhe ek nazar dekhna
Aur main jeewan bhar unka ho liya ‘
Ab sochta hun
Kitni sadharan sthiti me
Ghati thi wh ghatna ya durghatna
Jo itni asadharan ho gayi
Mere jeewan ke liye !##

*jeewan uske haath me
Mrityu bhi uske haath me hai ,
Lekin iske beech me
Manushya kee zindgi
Uski shaili , uska swasthya ,
Uski shiksha , uski sanskriti ,
Uski raajya vyavastha ,
Uska parivar , uska itihaas ,
Agli peerhi ka bhavishya ,
Wh bhi poora nahi to ,
Kuchh to uske paas hai ,
Manushya ke haath me hai ##

*sher :
Achchha to hai, agarche aisa ho ,
Aadmi yeh tamam achchha ho #

*sher :
Bhool chuke hain zyadatar to ,
Yaad abhi bhi zyadatar to

No comments: