Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

Kya aaj Roman

*Kya aaj ki kavita
Samajhne ke liye
Koi prashikshan
Lena padega
Kisi sansthaan me ?
###
*Aap ne theek se socha nahi , is mas ale par,
Isliye kuchh aayn, kabhi baayn – saayn bakte hain
[sher]
*[mazal]
Yeh likha hai , who likha hai , Log kahte hain ;
Dharm granthon me likha hai , Log kahte hain
Kya likha hai ? kya likha hai ? puhhte hain hum ,
Dekhiye yeh bhi likha hai , Log kahte hain
*Aurat purush ko
Janm deti hai ,
Purush , aurat se
Balatkar karta hai
Aurat fir , purush ko
Janm deti hai
##

* LEN – DEN
Nahi main len –den me
Poora vishvas nahi karta
Kewal dene tak
Seemit rakhta vyavhar
Ab , ydi koi lene wala hoga
Tabhi to main dene wala hunga ?
Bas usee len ko
Main deta hun sthaan
LEN - DEN mein ###
*Main tumse
kuchh mangta nahi
to main tumse chhota
kaise ho paata ?
jo main chahta hun-
tumse chhota hona
main tumse mangta hun
tumhara chhutpan
jis se tum bade bane raho
bade rah pao
###
* Mujhse
Bhool jane ko kahte ho
Aur khud
Mujhe yaad rakhte ho ! ##

* Meri pareshani
yeh hai ki tum
meri tarah kyon nahi
sochte , uthte –baithte
sote –jagte , likhte –parhte ?
tum meri baat maante kyon nahi ?
###
* Kya zaruri hai
Saath rahne ke liye
Prem karna ?
Prem karne ke liye
Saath rahna ?
###
*DUNIA ME
bahut keemti kavitaen
bade wazandaar vichar hain,
Mere Satyabhama ke paas
Bas ek Tulsi dal hai
###
*Use kya pata tha
Ki main musalman hun ?
Usne mera pair chhoo liya
Mera kya chala gaya
Wh meri duwayein le gaya
To mera kya ghat gaya ?##

*Paar utarna [utrna ] hai
Ya, paar utarna [utaarna] hai
Dono ek hain
Roman lipi hindi me #

*Sawaar hone deta hun
Apne pagalpan ko
Apne upar
Koi din , koi raat,
Is se rakshas
Paas nahi fatakte

No comments: