* Ishwar se ek naya sambandh viksit hua lagta hai Ab wh hamari pareshani ka sabab nahi hai Na hum us se chirhte , na us se hardam jhagda karne ke hi mood me rahte hain Aisa , sambhavtah isliye hua kyonki nastikta ke prati hum adhik praurh aur samajhdar huye hain hum jante hain ki jab hamare baap-daade apne ghar bula laye hain ,aur wh mehman oont ki tarah hamare kamre , baramde , aangan aur khet khlihan tak fail-pasar gaya hai ,to ab uska jana asambhav hai aur wh jayga bhi kahan ? Jab hum swayam parlok-swarglok jaisi jagahon me vishwas nahi karte ,to fir uske wahan chale jane ki kalpana kaise kar sakte hain Yeh to apne siddhant ke anusar hi hamari be imani hogi Fir yeh undemocratic bhi hoga ki use hum bina use koi vaikalpik niwas diye , itne dino se rah rahe ek pardesi ko ghar se nikal den yeh manushya ka ishwar par gambhir atyachar ho jayega
Isliye ab bhalai isee me hai ki hu uske saath rahna seekhen Kaise rahen ? yeh hamari buddhimatta me nihit hai hum uska sarthak , manveeya prayog-upyog karte hain Insha Allah aap safal ho jayenge , Ishwar kare aap swasth aur sukhi hon Ishwar se prarthna hai ki ki aap ka putra deerghaayu ho , vaivahik jeewan anandmay ho - - - -etc , bas hum uski sachmuch aaradhna ,pooja-paath nahi karte hum vishwast hain ki wh koi nahi hai , hamara sanskritik aavishkaar hai atah hum uska sanskritik prayog manav sabhyata ke liye karte hain , ek vyavhaarik shabd ke roop me , jis par hamne saari gyat-agyat shaktiyon ka punjh thopa hua hai wh hamari bhasha ki dictionary ka ek shabd hai ,aur hamen pata hai koi bhi shabd “ISHWAR” se kam shaktishali nahi hota Fir uska to naam hi wahi Ishwar hai
Ab hum us se pareshan hone ya use duniya se bedakhal karke use pareshan karne ki chinta aur prayas me nahi padte
TO NATIZA YEH NIKALTA HAI KI –HAAN ISHWAR HAI TO, PAR HUM US PAR VISHWAAS NAHI KARTE , US PAR BHAROSA NAHI KARTE HUM USKE SAATH BACHCHON KE CHANDA MAMA KI TARAH KHELTE AUR ANANDIT HOTE HAIN ISHWAR BACHCHON KE LIYE BAHUT UPYOGI KHILONA HAI AUR HUM SAB SRISHTI KE SAMAKSH NANHE BACHCHE HI TO HAIN ? # # #
24.9.11
नया सम्बन्ध
Labels: Citizens' blog
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment