Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

रोमन हाइकु ३६

*Tumhara kaam
Nirmaan karna hai
Nirman karo

*Muskara kar
Bolna hi hai hamein
Har kisi se

*Jab zindgi
Poori bhrashtachar hai
Kya unmoolan ?

*Pyaar viheen
Dunia me kya koi
Rah paya hai ?

*Ubharti hain
Chhoti-chhoti chhaviyan
Mann prasann

*Tulsi Dal
Ek pavitra bol
Hamari Party

*Han , haara to main
Jeet ki sambhavna
Ke bavjood

*Prem hamara
Ruchikar vishay
Wahi tumhara

*Nij samved
Chhipa kar rakhiye
Kholiye nahi

*Ek ladki
Ek hansi khanki
Khuli khidki

*Sihravan
Laagat hai savere
Chait mahina

*Hum milenge
Alag se milenge
Bheed me nahi

*Aap aurat
Nahi hain, Aurat hain
Han bhi , nahi bhi

*Aankh khuli to
Dunia hai , Band
Hui to tum

*Thodi si hi to
Buddhi mangi thee, tune
Zyada de diya

*Katha hawai
Kavita laffazi hai
Geet swarthi

*Dekho na radha
Main ahi jeevit hun
Tumhara kanha

*Mat jaana tu
Pagalpan tak
Meri moorkhta

*Aql jo hoti
Tab na istemal
Karte hum !

*Communiston ke
Paas aql nahi hai
Ho bhi to kaise !

*Jo dada hoga
Dadagiri karega
Nayi kya baat ?

*Sab ‘chahiye’
Hona nahi chahiye
Hota bhi nahi

* Holi manaun
Shubhkamna paun
Gunda Neta ke

*Apna socha
Suna- Guna sabka
Apna likha

*Saath wale to
Paatha to ho nahi pate
Bachche chale hain---

*Mujhe inkaar
Prastaav , jahan mujhe
Kuchh paana ho

*Main ho gaya hun
Bahut samajhdar
Samjhe aap --!

*Kalank hun main
Buddhi ke naam par
Nirbuddhi nahi

*Mere andhere !
Mujhe kuchh ujale
Dikhe hai wahan

*Karo na karo
Karm ke mod par
Bane to raho !

*Bhrashtacharan
Tu kare to galat hai
Mera theek hai

*Main is paar
Kaise doon tujhe pyaar
Tu us paar

*Maje me hain jo
Lekh nahi likhte
Bolte nahi

*Hum gate hain
Lekin gayak hain
kisne kaha

*Hone laga tha
Parhayi ka asar
Prarambh se hi

*Abhi kewal
Ahamkar jeeta hai
Tamam baki

*Bhookamp aaya
Diya jo jal raha
Tha , gir gaya

*Aag lagti
To kya , kahar toota
Japan पर