Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

25.9.11

रोमन हाइकु ३३

*Vidroh karo
Vidroh ka natiza
Bhi to bhugto

*Kabhi na hota
Vidroh nirapad
Kantila raah

*So I am
Because I think
So I think

*Lena na dena
Zara dekh ti lena
Bazar jaana

*Sarkaron ki
Koi soch hi nahi
To karegi kya ?

*Mard na ouchhe
To bhi bichh jayegi
Khud aurat

*Jo mann hoga
Wh main karunga
Pooja-apooja

*Ghar unka
Main adhikari nahi
Hastakshep ka


*Maine socha tha
Duniya badlunga
Badla ghar

*Maine socha tha
Duniya banaunga
Banaya kothi

*Shukra manao
Mard pichhe parte
Tumhe chahte

*Parmatma hai
Majboori ka naam
Gandhi ji nahi


*Mahatma gandhi
Majbooti ka naam
Karm-prateek

*Antatah siddh
Aarakshan neeti to
Ghatak hogi

*Kitna paani
Ghaggho rani, gahre
Jao pani me

*Jane kab to
Sthir buddhi hua main
Jagti jita

*Likh jayega
Lekh likhne se bhi
Bharat bhagya

*Samajvadi
Koi dhur ‘vyakti’ hi
‘vadi’ banega


*Mool mansha hai
Satta prapt karna
Shesh bahana

*Aaye hi aaye
Paisa chahe jahan se
Aaye , na jaye



*Dar kinar
Sundarta , shrrlta
Saathi ka gun

*Spashta paksha
Mera hai , parlok
Nahi manunga

*Khaki se dosti
Choron se santh-ganth
Khatarnak

*Kabad parha
Yaad aatin kitaben
Jo kooda parha


*Paap hai ,kyonki
Tumhe bataya gaya
Yeh paap hai

*Kya-kya hota hai
Kahan tak janoge
Ghar bhitar ?

*Nahi chalegi
Nirbandh democracy
Hindustan me

*Kathin kaam
Prashansa thukrana
Pad chhodna

*Nikale gaye
Kaam se, batate hain –
Maine khud chhoda

*Main dekhta hun
Ankhon me jhankta hun
Baal govindon ki


*Kah diya na
Tumko sun na hai
Bolna nahi

*See sakta hun main
Munh apna , ydi
Suyi-taga do



*Zinda rahna
To bas ek zid
Aur na kuchh

*Pol khule jo
Muddon par baat ho
Kitni buddhi !
*Aandolan ki
Avishvasniya hain
Aati khabrein

*Thoda to gussa
Ho lene do , fir to
Shant hi honge

No comments: