Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

26.9.11

मियां की जूती

*Miyan ki jooti
Kuchh, aur kuchh kya , tamam buddhijeevi naxalvadiyon ke liye samarthan jutane jagah –jagah sabhayein kar rahe hain , visheshkar jabse Dr vinayak sen ko saja huyi hai ,kyonki ab agli aanch un par bhi aa sakti hai ye bhi koi seedhe naxalvadi nahi hain , kewal bahr se unke samarthak hain ye kitabi loge hain aur vishwa vidyalayon tatha anya shaskiya-a shashkiya sansthaon me malayidar tabke me hain kuchh rajya prashasan ke uchch padon par baithe loge bhi is muhim me shamil hain aur internet –facebook par apna vampanthi namak halal kar rahe hain kuchh lal kitabein rakhne ke aarop me ye kisi sathi ko giraftar kiye jane ke viruddh hain isliye ,kyonki ve naxal –samarthak hain varna inhe kitabon ki , sahiyya ki , chhape huye shabdon aur prachar samagree ki akoot shakti ka poora-poora andaza hai aur iseeliye ve is kaam mein jagalon se bahar rahkar jee –jaan se jute huye hain
Aise logon se bahas nahi ki ja sakti kyonki ye dimagh se paidal ya bike huye huye dimagh wale loge hain ,bhale swekshapoorvakinka apna swatantra tarkik chintan nahi hai ye aise rationalist bhi nahi hain jo samjhane se samajh jayein ye jad –vaigyanik vichardhara ke loge hain ,use khoob parhe-likhe, bahas –vaarta me poorn patu inse aap jeet nahi sakte inse nipatne ka tariqa inhee ke siddhant se nikala ja sakta hai ye hindustan ke har------ , inke liye four-five letter words ki gaali aparyapt hai , SATTA BANDOOK KI NALI SE NIKLTI HAI ke saathi aur parokar hain inke liye, SAMAHJDARI DO_CHAR JHAPDON SE AATI HAI hi uchit samadhan hai hindi me samjhane se baat nahi banegi ,ye kranti ke fashion me choor hain fir un par laagoo kiya jane wala faisla inhi ke darshan ke anukool hai hamne ise wahin se nikala hai , to hamari kya galti hum bhi to unhi ke anuyayi huye !
Lekin inka dimag theek ho jane se bhi kya hoga !asli kaam to hai apadh bhole-bhale aadivasiyon ko naxalvadiyon ke changul se nikalna dhyan rakhein ,aadivasi kewal aadivasi hain ve naxalvadi nahi hain naxalvadi bahari log hain , kranti aur satta hathiyane ke tareekon, modern arms &ammunitions se lais aur najayaz ugahe gaye akoot dhan se paripoorn hain aadivasiyon ka hit inke agende par nahi hai unhe bas inka istemal apne chhudra sattavadi hit ke liye karna bhar hai kya hum jante nahi, visheshkar anthropologists, ki sadiyon se wahan rahne wale aadivasi us jeewan ke abhyast aur usme prafullit rahte hain , jis pichhdepan ka mudda uthakar mao ke ghulam hinsa par hinsa kiya ja rahe hain , buddh aur gandhi ke desh me is prakar to moorkh siddh hote hain kisan , jo kisi ki hatya nahi , aatmhatya karte hain hame yeh bhi pata hai ki ye swayam un kshetro ke vikas ke virodhi hain ye sadkon –schoolon ko surangon se uda dete hain bijli- sadak isliye nahi jane- ban ne dete ki tab police ki pahunch un tak aasan ho jayegi yeh sab jante-samajhte hamare buddhijeevi inka prachar karte hain aur naxalvad ko mahima mandit karte hain kyonki jan ke prati inka koi vastavik moh nahi hai , jan kalyan me inki koi abhiruchi nahi hai ,na satta ke liye zaroori dhairya ya desh ke prati kartavyanishtha ye utawle hain satta prapti ke liye , fir mano sab apne aap theek ho jayega aur iske liye is neeti se achchhi baat bhala kya ho sakti hai ki satta bandook ki nali se nikalti hai
Sambhav hai aisa hota ho swatantrta ke liye krantikari bhi aisa samajhte the aur hinsak karyavahiyan angrezon ke khilaf karte the , lekin we inki tarah darpok nahi the jo marne se darte hon we marte the to marne ke liye taiyar bhi rahte the unhe fansi hoti thi jiska fanda choomne ke liye we saharsh taiyar rahte the kam se kam unhe yeh to maloom tha ki we sarkar dwara abhinandit to nahi hi kiye jayenge , ab azadi ke baad bhale unhe samman mil raha hai aur unke aashriton ko pension
Bhagat singh parliament me bam fodkar bhage the kya ?unhe apni mrityudand ka poora gyan tha yahan tak ki ahinsak vaicharik kratikari Sukrat ne bhi quaid se bhagne ka koi upkram sweekar nahi kiya aur vish ka pyala piya inke vipreet hamare naxalvadi bhai is pratyasha me hain ki hum chahe jitnte marein , sarkar hamei na mare ,balki hatho-haath utha kar dilli ki gaddi par bitha de inkee khamkhyali sahi bhi hai kyonki ye jante hain ki bharat sarkar ek janta dwara chuni gayi ,tamam dalon ke sahare chal rahi ek nihayat kamzor sarkar hai uski zara si prati karyavahi par civil societies use lanat bhejne lagti hain , bhale inki koi karyavahi civil activities se mel na khati ho Apoorvanand ne kabhi Jansatta me likha tha ki maovadiyon ko jangal hi kyon bhate hain ? kyonki ye kamzor hain apne antarvastu me inke paas khule me samajik karya karne ka madda nahi hai ye apne cheen me ho rahe nagrikon par atyachar ke khilaf nahi bolte Pakistan , iran ,iraq nahi jate ,mano saari gareebi ,sara shoshan kewal hindustan me hai Ye apne bachchon ko bhi wahan na bhejkar Amerika bhejte hain , jisko ek saans me ye sau gaaliyan dete hain Abhi misr me jo takhtapalat hua hai usme inka kya yogdan hai ? To kya hain ye loge ? Be pendi ke loge #

No comments: