*Hindu- musalmanke nam par nam matra ki rajneeti bhi na kijiye isee se tafarka paida hota hai , hona shuroo ho jata hai isee rajneeti ke prabhav me kabhi musalman zyada bachche paida karne lag jata hai , to kabhi kabhi hindu ko adhik santanein janm dene ka ahwan hone lagta hai , jo apni jagah par poore tarkik hote hain , kyonki aapki rajneeti bhi to usee hisab se chalti hai !tabhi jansankhya , alpa snkhya ya bahusankhya ki duhayi aur uske aadhar par hissedari ki mang shuroo ho jati hai , jo sarasar galat hoti hai aur samprdayikta ko barhati hai dharmon ,jatiyon me aapas me shadiyan iseeliye nahi ho pati ya unhe protsahan nahi milta kyonki tab jati vishesh ka jan [sankhya]aadhar gadbada jane ka bhay hota hai aur rajneei , satta ki taqat bahut badi cheez hoti hai bhayi iske liye kya-kya nahi ho sakta hai ,ho jata hai ! ##
*Hum parlok , par-rashtra , par-stree ki taraf nazar nahi karte
*PARIWAR BHI POORI RAAJYA KI IKAAYI HAI .
*Prem ek anjan mehman ki tarah hai , jiske aane par chehra prafull ho jata hai
*Aagah : Har burayi ka srot brahman , har kharabi ki khan bharat aur har nakargi ka naam sarkar, yeh baat ghatak hai Jaise har musalman ko desh drohi kahkar konchna ghatak tha , jiske karan hum kabhi RSS pro kabhi na ho paye Bahusankhyak ki samprdayikta ko loktantra ke rajneeti shastri zyada khatarnak batate hain , to bahu sankhyak ka algao bhi unhe deshpremi nahi banayega #
*Kisi ko chhota siddh karne ka yek tarika kahavatki tarah yeh bataya jata hai ki uske aage ek badi lakir khinch do ab isi prakar yeh kaha ja sakta hai ki ydi kisi ka vyaktitwa bada pradarshit karna ho to uski pratidwandwita me ek chhoti lakir khinch do
*Sab samajhte hain ki main kuchh nahi janta , jabki jo main janta hoon wh koi nahi janta
*Aurat ko atirikt labh yeh hai ki wh sampatti viheen hokar bhi samriddhivan hoti hai
*Common culture at common public places should be adopted and not the diverse culture #
*Huttington ke prasiddh vichar –‘ sabhytaon ke sanghash ‘ ka parinam main nikalta hoon – Asabhyta ka vinash #
*Viddwanon ke munh lagna theek nahi hota , aur isee prakaar moorkhon se bhi zyada baat nahi karni chahiye #
*Main aashcharychakit hota hun kis prakar log apne paksh me tarkon aur tathyon ko apne hit me mod lete hain aur main har samay to turat unhe tok nahi sakta ! #[ Malviya sabhagar 29/10/09 ]
*Ydi aap vaigyanik mijaz ke pakshdhar hain , andhvishwas ke khilaf aur ratinalist to fir aap islam ke paksh me kaise ho sakte hain ? Muslim hit ke nam par islam ke pairokar , hitsadhak kaise ho sakte hain ? Vyakti [jan ] ka hitchintak hona aur baat hai , who vyakti chahe kise dharm- jaati ka ho Lekin love me love my dog kab tak kheenchte rahenge ?
*Urdu Ka , Kha , Ga
Main hindi varnmala me ise rakhna chahunga ka ,kha , ga , ja ,fa ke neeche bindi lagakar use urdu ka, kha . ga , ja , fa kahna chahoonga aur use theek se urdu ki tarah prayog me lane par jor dena chahunga
*TAJMAHAL
Sabko pata hai ki Tajmahal ke ban jane ke baad iske kareegaron ki ungliyan kaat dali gayi thin zahir hai we kayi thin kyonki kewal ek-do karregaron ke vash me itna bada nirmaan nahi tha Fir bhi log kewal eklavya ke ungli kate jane ke hadse ko bahut ro – ro kar gate hain aur is badi durghatna ka koi zikra nahi hota main dronacharya ko koi clean chit nahi de raha hoon , na shahjahan ko doshi thahra raha hoon , par main us chintan prakriya ki oor ishara kar raha hoon jiske tahat biased , pakshpatpurna rawaiya barta jata hai Fir bhi turra yeh ki ham bade without prejdice , nishpaksh , nyayik soch rakhte hain are bhayi , ek angootha katne ki baat to bahut purani hai , pauraanik hai , pata nahi sach hai bhi ya jhooth hai , lekin Tajmahal to ek hazar saal ke andar andar ki baat hai , aur sach hai
*Khatayi khane se namardi
Aisa gyan janlok me prachlit hai yeh hamein bataya jata hai , aur hum maan jate hain mard hokar namardi ka khatra uthana aur fir lok ke itne bade anand se vanchit rahna bhala kaun chahega ! ab is gyan , vishwas ya andhvishwas ka apne taur par pareekshan karke sunishchit karna aur tab amal me lana kaun karega jaisa ki vaigyanik mijaz – dhara ya rationalism hamein batati hai bas hum yahin gachcha kha jate hain jo bhi gyan hamare vaktigat pareekshan ke dayre se bachkar samaj ke bharose gaya ,wh , hum kahne ko kuchh bhi kah kar bach lein , par wh hamare andhvishwas ke hi adhyay par aa gaya aur ydi matra aise kuchh futkar gyan sachmuch parampara ke vaigyanik gyan bhi hon , to isee ke sath tamam paramparaein gyan ke roop me aa jati hain jo andhvishwas hote hain , fir bhi hum unhe mannane lagte hain usi me hastrekha bhi aa jati hai , rashifal aur swapna-vichar bhi Ab ,in sabke liye bechre ek manushya ko kitna dosh de diya jaye ? use apmanit to na kiya jaye ! ##
26.9.11
Said Roman
Labels: Citizens' blog
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment