Bhadas ब्लाग में पुराना कहा-सुना-लिखा कुछ खोजें.......................

12.9.11

NEKI , Poetry in Roman

*Jab tak aap
use parh nahi lenge
mere sandesh ka
prateek chinh
aap ki mobile par
chipka rahega
###
*NEKI , AUR POONCHH POONCHH ?
Bina poochhe neki
Kabhi ki baat Rahi hogi ,
Ab nahi karni
Ab to poochh karke nahi hi ,
Chirauri karne par bhi
Neki mat kijiye,
Aisa zamana hai
##
*Kavita likhte raho
Yatharth apna kaam
Karta rahega
Tum naari mukti likho
Naari bandhti , jalayi ,
Balatkrit hoti rahegi
Tum dalit mukti , maila mukti
Karte raho ,
Bahmanvad ka mail , sab par
Chadhta rahega
Tum chalte raho
Tumhare ateet ka
Brahma rakkshsas
Tumhare sir par charha rahega
Kavita likhte raho ,
Kahani chalti rahegi
##
*Apni purani vivashtaon ko
Yaad karne , unka samman
Karne ke liye , kabhi – kabhi
Main vivashta ka natak
Karne lagta hun aur
Mujhe khushi hoti hai
Ki maine apne mool ko
Chhoda nahi hai
####

No comments: